Yaad
Behad khushi mein bepanah aati hai koi yaad , Hasne lagun toh , aankh bhar lati hai koi yaad, Roshan hein meri subha kisi ke khayyal seh , Raton ko ek chirag jalati hai koi yaad!Picheh se kisne rakh diye ankhon pe narm haath , Chupke se yun dabi dabi si aati hai koi yaad,…